DreamPirates > Lyrics > Papa Kehte Hain Lyrics

Papa Kehte Hain Lyrics

Author: DreamPirates

Papa kehte hain bada naam karega Beta humara aisa kaam karega Magar yeh to koyi na jaane Ke meri manzil hai kahaan Papa kehte hain bada naam karega

Baithe hain milke sab yaar apne Sabke dilon mein armaan yeh hai Woh zindagi mein kal kya banega Har ek nazar ka sapna yeh hai Koyi engineer ka kaam karega Business mein koyi apna naam karega Magar yeh to koyi na jaane Ke meri manzil hai kahaan Papa kehte hain bada naam karega Mera to sapna hai ek chehra Dekhe jo usko jhoome bahaar Gaalon mein khilti kaliyon ka mausam Aankhon mein jaadu hothon mein pyar Banda yeh khoobsoorat kaam karega Dil ki duniya mein apna naam karega Meri nazar se dekho to yaaron Ke meri manzil hai kahaan Papa kehte hain bada naam karega Read more: > Tag : Lyrics

Relative Posts

×