DreamPirates > Lyrics > KHOYA KHOYA LYRICS – TKAY

KHOYA KHOYA LYRICS – TKAY

Submitted By : DreamPirates | Last Updated : 2020-07-16 16:27:43

Film/Album : Velaikkaran
Language : NA
Lyrics by : Tkay
Singer : Tkay
Composer : NA
Publish Date : 2020-07-16 16:27:43

KHOYA KHOYA LYRICS – TKAY


Song Lyrics :

Khoya Khoya – Tkay
Aaj kal khoya khoya rehta hoon
Sab kuchh akele sehta hoon
Par kisi se na kuchh kehta hoon
Lekin aaj dard bhar aaya
Munh tod boluga
One one one Tkay Dil ki hai baat bayaan karu zubaan se
Zubaan se main pakka
Par kachcha hoon main kaan se
Bhara takleef se jitne taare aasmaan mein
Mar ke bhi likhta rahuga main shamshaan mein
Man mein rakhi baatein mujhe andar khaayi ja rahi hai
Karta hoon main pooja phir bhi Shani mujhpe bhaari hai
Log kaun se saaf saale bolte brahamchaari hai
Bolenge mere kakh bas banda main likhari ae Kushiyan hain paane ki talab beshumaar
Main bhi khada line mein badi hai kataar
Mehnat na karta par kismat ki hai maar
Samay hai kharab tabhi chup hoon janaab Kisi ke hunar ka mazaak banana art hai kya
Apni baat rakhna hip hop ka part hai na
Jo tere sath woh dil se sath hai kya
Tujhe koyi judge kare uski aukaat hai kya Khoya khoya rehta hoon apni he dhun mein
Jatana hoon chahta koyi meri bhi sunn le
Is bhari huyi zindagi mein mujhe bhi koyi chun le
Keeda hai likhne ka bas mere khoon mein Khoya khoya rehta hoon apni he dhun mein
Jatana hoon chahta koyi meri bhi sunn le
Is bhari huyi zindagi mein mujhe bhi koyi chun le
Keeda hai likhne ka bas mere khoon mein Stress se bharpoor saara din anxiety hai
Koyi bhi ni bas mera allah almighty hai
Shabd mere dava dost bade highly hain
Keechad se maili yeh gandi soceity hai
Khushiyan main dhoondta par unki to vacation
Sabko ban’na star par kisi mein na patience
Success ko likh kar deta invitaion
Kehna chahta bohat par hoti hesitation Chehre pe hai jhurriyan
Jaise seeshe pe tareed ho
Rap karun aise jaise daali main raid ho
Bol mere phoote jaise phenka hai grenade ko
Chale chaal meri jaise chale jungli bhed ho
Baahar se majboot par andar saala khandit hoon
Rabb ko main maanta na dhongi pandit hoon
Banda hua main maryada ki zanjeer mein
Pyar kitna rap se dikha doon seena cheer ke Khoya khoya rehta hoon apni he dhun mein
Jatana hoon chahta koyi meri bhi sunn le
Is bhari huyi zindagi mein mujhe bhi koyi chun le
Keeda hai likhne ka bas mere khoon mein

Tag : lyrics

Relative Posts